shoala sa pech-o-tab mein dekha
sho.ala sā pech-o-tāb meñ dekhā
jaane kyā iztirāb meñ dekhā
gul-kadoñ ke tilism bhuul ga.e
vo tamāshā naqāb meñ dekhā
aaj ham ne tamām husn-e-bahār
ek barg-e-gulāb meñ dekhā
sar khule pā-barahna koThe par
raat use māhtāb meñ dekhā
fursat-e-mausam-e-nashāt na pūchh
jaise ik ḳhvāb ḳhvāb meñ dekhā
shoala sa pech-o-tab mein dekha
jaane kya iztirab mein dekha
gul-kadon ke tilism bhul gae
wo tamasha naqab mein dekha
aaj hum ne tamam husn-e-bahaar
ek barg-e-gulab mein dekha
sar khule pa-barahna koThe par
raat use mahtab mein dekha
fursat-e-mausam-e-nashat na puchh
jaise ek KHwab KHwab mein dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.