shoala shoala thi hawa shisha-e-shab se puchho
sho.ala sho.ala thī havā shīsha-e-shab se pūchho
yā mirā haal marī tāb-e-talab se pūchho
jaane kis moḌ pe in āñkhoñ ne motī kho.e
bastiyāñ diid kī vīrān haiñ kab se pūchho
rāste logoñ ko kis samt liye jaate haiñ
kyā ḳhabar kaun batā pā.egā sab se pūchho
din nikalte hī sitāroñ ke safīne Duube
dil ke bujhne kā sabab mauj-e-tarab se pūchho
vahī din raat vahī ek se lamhoñ kā hisāb
suḳhan āġhāz karūñ 'umr kā jab se pūchho
ḳhāmushī bhī to sunātī hai fasāne aksar
kis tamāshe meñ huuñ ye bandish-e-lab se pūchho
shoala shoala thi hawa shisha-e-shab se puchho
ya mera haal mari tab-e-talab se puchho
jaane kis moD pe in aankhon ne moti khoe
bastiyan did ki viran hain kab se puchho
raste logon ko kis samt liye jate hain
kya KHabar kaun bata paega sab se puchho
din nikalte hi sitaron ke safine Dube
dil ke bujhne ka sabab mauj-e-tarab se puchho
wahi din raat wahi ek se lamhon ka hisab
suKHan aaghaz karun 'umr ka jab se puchho
KHamushi bhi to sunati hai fasane aksar
kis tamashe mein hun ye bandish-e-lab se puchho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.