shoale bhaDak rahe the ghairon ke tan-badan mein
sho.ale bhaḌak rahe the ġhairoñ ke tan-badan meñ
maiñ jaam pī rahā thā hamrāh-e-but chaman meñ
fitne chhupe hue haiñ gesū-e-pur-shikan meñ
tuġhyāniyāñ bapā haiñ āb-e-chah-e-zaqan meñ
sad-zīnat-e-vatan haiñ nañg-e-vatan vatan meñ
qismat uruuj par hai har ḳhaar kī chaman meñ
jism-e-nahīf kyā hai malbūs pairahan meñ
lāsha hai hasratoñ kā lipTā huā kafan meñ
takmīl hurriyat kī hogī na phir vatan meñ
ye hī raheñge fitne jo shaiḳh-o-barhaman meñ
sad-āfrīñ hai tujh ko sad-marhabā zuleḳhā
chhoḌā na taar koī yūsuf ke pairahan meñ
zulmat-kade meñ dil ke yuuñ dāġh-e-dil haiñ raushan
qindīl jal rahī ho jaise ki anjuman meñ
paanī se āñsuoñ ke sairāb kar rahā huuñ
ḳhushkī sī aa chalī thī kuchh ziist ke chaman meñ
rahne de chārāgar tū chāragarī ko apnī
ik kaif mil rahā hai har zaḳhm kī jalan meñ
sab mast pī rahe haiñ saaqī sharāb-e-ishrat
ik roza-dār maiñ bhī baiThā huuñ anjuman meñ
āsāñ nahīñ hai 'jauhar' kuchh fann-e-sher-goī
hotā hai ḳhuun paanī maidān-e-ilm-o-fan meñ
shoale bhaDak rahe the ghairon ke tan-badan mein
main jam pi raha tha hamrah-e-but chaman mein
fitne chhupe hue hain gesu-e-pur-shikan mein
tughyaniyan bapa hain aab-e-chah-e-zaqan mein
sad-zinat-e-watan hain nang-e-watan watan mein
qismat uruj par hai har KHar ki chaman mein
jism-e-nahif kya hai malbus pairahan mein
lasha hai hasraton ka lipTa hua kafan mein
takmil hurriyat ki hogi na phir watan mein
ye hi rahenge fitne jo shaiKH-o-barhaman mein
sad-afrin hai tujh ko sad-marhaba zuleKHa
chhoDa na tar koi yusuf ke pairahan mein
zulmat-kade mein dil ke yun dagh-e-dil hain raushan
qindil jal rahi ho jaise ki anjuman mein
pani se aansuon ke sairab kar raha hun
KHushki si aa chali thi kuchh zist ke chaman mein
rahne de chaaragar tu chaaragari ko apni
ek kaif mil raha hai har zaKHm ki jalan mein
sab mast pi rahe hain saqi sharab-e-ishrat
ek roza-dar main bhi baiTha hun anjuman mein
aasan nahin hai 'jauhar' kuchh fann-e-sher-goi
hota hai KHun pani maidan-e-ilm-o-fan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.