shoalon mein gham-e-zat ki jhulsaya hua sa
sho.aloñ meñ ġham-e-zāt kī jhulsāyā huā sā
har paikar-e-ehsās hai murjhāyā huā sā
har shaḳhs hai auhām ke aaseb ke hāthoñ
sahmā huā simTā huā ghabrāyā huā sā
har zehn jo firdaus-e-taḳhayyul thā kisī din
lagtā hai jahannum koī dahkāyā huā sā
sadiyoñ se maiñ jiine kī sazā kaaT rahā huuñ
sāñsoñ kī salīboñ pe huuñ laTkāyā huā sā
har shaḳhs hai be-mehrī-e-hālāt se har-dam
rūThā huā biphrā huā jhallāyā huā sā
sahrāoñ meñ nafrat ke bhaTaktā huuñ musalsal
do ghūñT ko chāhat ke huuñ tarsāyā huā sā
kyā pā.egā phir vus.at-e-afkār ki 'rāhī'
roTī ke jhameloñ meñ hai uljhāyā huā sā
shoalon mein gham-e-zat ki jhulsaya hua sa
har paikar-e-ehsas hai murjhaya hua sa
har shaKHs hai auham ke aaseb ke hathon
sahma hua simTa hua ghabraya hua sa
har zehn jo firdaus-e-taKHayyul tha kisi din
lagta hai jahannum koi dahkaya hua sa
sadiyon se main jine ki saza kaT raha hun
sanson ki salibon pe hun laTkaya hua sa
har shaKHs hai be-mehri-e-haalat se har-dam
ruTha hua biphra hua jhallaya hua sa
sahraon mein nafrat ke bhaTakta hun musalsal
do ghunT ko chahat ke hun tarsaya hua sa
kya paega phir wusat-e-afkar ki 'rahi'
roTi ke jhamelon mein hai uljhaya hua sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.