Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shohraten auron ne pain nam auron ko mila

Haleem Sabir

shohraten auron ne pain nam auron ko mila

Haleem Sabir

MORE BYHaleem Sabir

    shohrateñ auroñ ne pā.īñ naam auroñ ko milā

    kaam to ham ne kiyā in.aam auroñ ko milā

    fasl jo maiñ ne ugaa.ī kar ke mehnat raat din

    jab bikī vo fasl merī daam auroñ ko milā

    mere purkhoñ ne lagā.e peḌ jo mere liye

    un ThanDī chhāñv meñ ārām auroñ ko milā

    mere hisse meñ sulagtī dopahar dhuup thī

    zindagī lutf sub.h-o-shām auroñ ko milā

    thī hamārī haisiyat is shahr meñ me.amār

    ham ne chhat ta.amīr ārām auroñ ko milā

    ham bhī pyāse the magar muñh dekhte rah ga.e

    dast-e-sāqī se chhalaktā jaam auroñ ko milā

    mujh ko 'sābir' har qadam par raah meñ kāñTe mile

    phūloñ se ārāsta har-gām auroñ ko milā

    shohraten auron ne pain nam auron ko mila

    kaam to hum ne kiya inam auron ko mila

    fasl jo main ne ugai kar ke mehnat raat din

    jab biki wo fasl meri dam auron ko mila

    mere purkhon ne lagae peD jo mere liye

    un ki ThanDi chhanw mein aaram auron ko mila

    mere hisse mein sulagti dopahar ki dhup thi

    zindagi ka lutf subh-o-sham auron ko mila

    thi hamari haisiyat is shahr mein meamar ki

    hum ne chhat tamir ki aaram auron ko mila

    hum bhi pyase the magar munh dekhte hi rah gae

    dast-e-saqi se chhalakta jam auron ko mila

    mujh ko 'sabir' har qadam par rah mein kanTe mile

    phulon se aarasta har-gam auron ko mila

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now