shoKH chanchal hawa kitni gustaKH thi uski zulfen jo chehre pe bikhra gai
shoKH chanchal hawa kitni gustaKH thi uski zulfen jo chehre pe bikhra gai
Mirza Rafeeq Shakir
MORE BYMirza Rafeeq Shakir
shoḳh chanchal havā kitnī gustāḳh thī us kī zulfeñ jo chehre pe bikhrā ga.ī
phail jaa.e dhuāñ jaise lobān kā yā ki kaalī ghaTā chāñd par chhā ga.ī
shāḳh-e-gul jhuum kar phir lachakne lagī sabz patte bajāne lage tāliyāñ
us kī maḳhmūr āñkheñ uThīñ jis taraf jaam par jaam har samt chhalkā ga.ī
us kī nazreñ jo merī nazar se milīñ phir nazar hī nazar meñ huā faisla
ik nazar thī ki donoñ ko lalchā ga.ī phir huā ye ki vo ḳhud hī sharmā ga.ī
ġhuncha-e-dil pe titlī thirakne lagī phuuT niklī kiran gul mahakne lage
jān-o-dil se vo mujh par fidā jab huā merī duniyā meñ jaise bahār aa ga.ī
chāñdnī par mirī chāñdnī raat meñ mere dilbar ke pur-shoḳh andāz par
barq lahrā ga.ī nuur bikhrā ga.ī rañg barsā ga.ī zehn mahkā ga.ī
āfat-o-qahr fitne musībat alam dard taklīf karb-o-balā ranj-o-ġham
ik tavajjoh haTā.ī jo us ne zarā dekh lo ḳhud pe kaisī ghaḌī aa ga.ī
us ne bargad ke patte pe itnā likkhā kyā yahāñ par tumheñ rizq miltā nahīñ
bas isī ek pate se 'shākir' mujhe apne āñgan kī hariyālī yaad aa ga.ī
shoKH chanchal hawa kitni gustaKH thi us ki zulfen jo chehre pe bikhra gai
phail jae dhuan jaise loban ka ya ki kali ghaTa chand par chha gai
shaKH-e-gul jhum kar phir lachakne lagi sabz patte bajaane lage taliyan
us ki maKHmur aankhen uThin jis taraf jam par jam har samt chhalka gai
us ki nazren jo meri nazar se milin phir nazar hi nazar mein hua faisla
ek nazar thi ki donon ko lalcha gai phir hua ye ki wo KHud hi sharma gai
ghuncha-e-dil pe titli thirakne lagi phuT nikli kiran gul mahakne lage
jaan-o-dil se wo mujh par fida jab hua meri duniya mein jaise bahaar aa gai
chandni par meri chandni raat mein mere dilbar ke pur-shoKH andaz par
barq lahra gai nur bikhra gai rang barsa gai zehn mahka gai
aafat-o-qahr fitne musibat alam dard taklif karb-o-bala ranj-o-gham
ek tawajjoh haTai jo us ne zara dekh lo KHud pe kaisi ghaDi aa gai
us ne bargad ke patte pe itna likkha kya yahan par tumhein rizq milta nahin
bas isi ek pate se 'shakir' mujhe apne aangan ki hariyali yaad aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.