shoKH masum si allhaD wo kunwari baaten
shoḳh māsūm sī allhaḌ vo kuñvārī bāteñ
yaad aatī haiñ mujhe aap kī pyārī bāteñ
naaz se rūThnā phir un kā manānā mujh ko
yaad aane lagīñ rah rah ke vo saarī bāteñ
āstīñ apne hī ashkoñ se bhigo Dāloge
yaad ā.eñgī tumheñ jab bhī hamārī bāteñ
kī ḳhatā tum ne ki ham ne use kal socheñge
aaj kī raat to ye chhoḌiye saarī bāteñ
aaj ke daur meñ har roz hī sunñā hoñgī
be-hisī se bharī mafhūm se aarī bāteñ
un ko bhātī nahīñ ye baat alag hai 'bāno'
dil meñ rakh lene ke qābil haiñ tumhārī bāteñ
shoKH masum si allhaD wo kunwari baaten
yaad aati hain mujhe aap ki pyari baaten
naz se ruThna phir un ka manana mujh ko
yaad aane lagin rah rah ke wo sari baaten
aastin apne hi ashkon se bhigo Daloge
yaad aaengi tumhein jab bhi hamari baaten
ki KHata tum ne ki hum ne use kal sochenge
aaj ki raat to ye chhoDiye sari baaten
aaj ke daur mein har roz hi sunna hongi
be-hisi se bhari mafhum se aari baaten
un ko bhati nahin ye baat alag hai 'bano'
dil mein rakh lene ke qabil hain tumhaari baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.