shoKH nazron mein jo shamil barhami ho jaegi
shoḳh nazroñ meñ jo shāmil barhamī ho jā.egī
aur bhī jins-e-mohabbat qīmtī ho jā.egī
āñkhoñ āñkhoñ meñ jo sulh-e-bāhamī ho jā.egī
baat bhī rah jā.egī aur baat bhī ho jā.egī
dil nazar ban jā.egā ġham har ḳhushī ho jā.egī
aap ke jaate hī duniyā dūsrī ho jā.egī
aa.ina kar degī merī ḳhud-farāmoshī mujhe
be-ḳhudī jab had se guzregī ḳhudī ho jā.egī
dāġh-e-dil ban jā.egā furqat meñ terī rashk-e-māh
yuuñ bhī mere ġham-kade meñ raushnī ho jā.egī
shoKH nazron mein jo shamil barhami ho jaegi
aur bhi jins-e-mohabbat qimti ho jaegi
aankhon aankhon mein jo sulh-e-bahami ho jaegi
baat bhi rah jaegi aur baat bhi ho jaegi
dil nazar ban jaega gham har KHushi ho jaegi
aap ke jate hi duniya dusri ho jaegi
aaina kar degi meri KHud-faramoshi mujhe
be-KHudi jab had se guzregi KHudi ho jaegi
dagh-e-dil ban jaega furqat mein teri rashk-e-mah
yun bhi mere gham-kade mein raushni ho jaegi
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 586)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.