shoKH patte lahlahate hain shajar ke
shoḳh patte lahlahāte haiñ shajar ke
jaise koī ishtihār apne hunar ke
kitne kachche rāste haiñ is shahar meñ
sher jaise ban paḌe hoñ be-bahr ke
sau makāneñ phir kahīñ toḌī ga.iiñ to
ek putlā phir kahīñ aayā ubhar ke
jab kareñge guftugū tanhā.iyoñ se
tab baneñge ham-safar ḳhud ham-safar ke
paas baiTho bhī kabhī kājal lagā.e
hausle bhī dekh lo merī nazar ke
muflisī se duur thoḌī hai amīrī
fāsle haiñ chand qismat-o-safar ke
gir paḌīñ tab Dar ga.iiñ būñdeñ zamīñ se
haath pakḌe hī rahī bahtī nahr ke
baañT le duniyā jo TukḌe ho ga.e haiñ
zīst-o-hastī ke dil-o-jān-o-jigar ke
yuuñ qalam ko kāġhazoñ meñ gaaḌ denā
kyā yahī āsār haiñ tere ġhadar ke
apne andhe-pan ke baare meñ to socho
ḳhvāb 'alaḳh' kyoñ dekhte ho tum sahar ke
shoKH patte lahlahate hain shajar ke
jaise koi ishtihaar apne hunar ke
kitne kachche raste hain is shahar mein
sher jaise ban paDe hon be-bahr ke
sau makanen phir kahin toDi gain to
ek putla phir kahin aaya ubhar ke
jab karenge guftugu tanhaiyon se
tab banenge ham-safar KHud ham-safar ke
pas baiTho bhi kabhi kajal lagae
hausle bhi dekh lo meri nazar ke
muflisi se dur thoDi hai amiri
fasle hain chand qismat-o-safar ke
gir paDin tab Dar gain bunden zamin se
hath pakDe hi rahi bahti nahr ke
banT le duniya jo TukDe ho gae hain
zist-o-hasti ke dil-o-jaan-o-jigar ke
yun qalam ko kaghazon mein gaD dena
kya yahi aasar hain tere ghadar ke
apne andhe-pan ke bare mein to socho
KHwab 'alaKH' kyon dekhte ho tum sahar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.