shoKHi uf-re teri nazar ki
shoḳhī uf-re tirī nazar kī
ye phāñs banī mire jigar kī
zulfoñ ne vahīñ balā.eñ le liiñ
ruḳh se jo zarā naqāb sarkī
kyā pūchhte ho shab-e-judā.ī
jis tarah se ban paḌī basar kī
dil de ke unheñ maiñ dekhtā huuñ
ye merī ḳhatā hai yā nazar kī
nikleñ bhī to ye 'azīz' dil se
nāloñ meñ kamī nahīñ asar kī
shoKHi uf-re teri nazar ki
ye phans bani mere jigar ki
zulfon ne wahin balaen le lin
ruKH se jo zara naqab sarki
kya puchhte ho shab-e-judai
jis tarah se ban paDi basar ki
dil de ke unhen main dekhta hun
ye meri KHata hai ya nazar ki
niklen bhi to ye 'aziz' dil se
nalon mein kami nahin asar ki
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 266)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.