shoKHiyan mujh pe kyun aashkara nahin
shoḳhiyāñ mujh pe kyuuñ āshkāra nahīñ
kyā mirā dil mohabbat kā maarā nahīñ
kyā koī aisā lamha bhī guzrā hai jab
shīsha-e-dil meñ tujh ko utārā nahīñ
ik zamāna huā āñsuoñ ke binā
raat kaaTī nahīñ din guzārā nahīñ
shauq se 'ishq kā imtihāñ lījiye
aaj bhī maiñ thakā aur haarā nahīñ
thāmte hī kalā.ī vo kahne lage
ab ḳhudārā nahīñ ab ḳhudārā nahīñ
shaam hī se añdherā hai chāroñ taraf
aisā lagtā hai ye ghar hamārā nahīñ
is sulagtī sī duniyā meñ 'tashna' koī
kaash kahtā ki vo ġham kā maarā nahīñ
shoKHiyan mujh pe kyun aashkara nahin
kya mera dil mohabbat ka mara nahin
kya koi aisa lamha bhi guzra hai jab
shisha-e-dil mein tujh ko utara nahin
ek zamana hua aansuon ke bina
raat kaTi nahin din guzara nahin
shauq se 'ishq ka imtihan lijiye
aaj bhi main thaka aur haara nahin
thamte hi kalai wo kahne lage
ab KHudara nahin ab KHudara nahin
sham hi se andhera hai chaaron taraf
aisa lagta hai ye ghar hamara nahin
is sulagti si duniya mein 'tashna' koi
kash kahta ki wo gham ka mara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.