shola-e-ishq mein jo dil ko tapan rakhte hain
shola-e-ishq meñ jo dil ko tapāñ rakhte haiñ
apnī ḳhātir meñ kahāñ kaun-o-makāñ rakhte haiñ
sar jhukāte haiñ usī dar pe ki vo jāntā hai
ham faqīrī meñ bhī andāz-e-shahāñ rakhte haiñ
bādbāñ chaak hai aur bād-e-muḳhālif muñh-zor
hausla ye hai ki kashtī ko ravāñ rakhte haiñ
vahshat-e-dil ne hameñ chain se jiine na diyā
chashm giryāñ kabhī jaañ shola-fishāñ rakhte haiñ
us ko fursat nahīñ to ham bhī zabāñ kyuuñ kholeñ
varna siine meñ gul-e-zaḳhm nihāñ rakhte haiñ
arsh-tā-farsh phirāyā gayā kūcha kūcha
ab ḳhudā jaane mirī ḳhaak kahāñ rakhte haiñ
dil meñ vo rashk-e-gulistāñ liye phirte haiñ 'shamīm'
phuul khilte haiñ qadam aap jahāñ rakhte haiñ
shola-e-ishq mein jo dil ko tapan rakhte hain
apni KHatir mein kahan kaun-o-makan rakhte hain
sar jhukate hain usi dar pe ki wo jaanta hai
hum faqiri mein bhi andaz-e-shahan rakhte hain
baadban chaak hai aur baad-e-muKHalif munh-zor
hausla ye hai ki kashti ko rawan rakhte hain
wahshat-e-dil ne hamein chain se jine na diya
chashm giryan kabhi jaan shola-fishan rakhte hain
us ko fursat nahin to hum bhi zaban kyun kholen
warna sine mein gul-e-zaKHm nihan rakhte hain
arsh-ta-farsh phiraya gaya kucha kucha
ab KHuda jaane meri KHak kahan rakhte hain
dil mein wo rashk-e-gulistan liye phirte hain 'shamim'
phul khilte hain qadam aap jahan rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.