shor-angez wo KHun-bar hawa bhi aae
shor-angez vo ḳhūñ-bār havā bhī aa.e
aur dabe paañv kabhī bād-e-sabā bhī aa.e
zalzale ne jise mismār kiyā thā yaaro
log nafrat kī vo dīvār uThā bhī aa.e
jaane ḳhvābīda ki bedār hai munsif kā zamīr
ham to insāf kī zanjīr hilā bhī aa.e
mere afkār haiñ har chand vafā ke pāband
kuchh ḳhayālāt magar tere sivā bhī aa.e
terī ḳhātir na kabhī maiñ ne palaT ke dekhā
raah meñ ġharche ka.ī koh-e-nidā bhī aa.e
log ho sakte nahīñ ḳhvāb-e-girāñ se bedār
ab jagāne ke liye chāhe ḳhudā bhī aa.e
shor-angez wo KHun-bar hawa bhi aae
aur dabe panw kabhi baad-e-saba bhi aae
zalzale ne jise mismar kiya tha yaro
log nafrat ki wo diwar uTha bhi aae
jaane KHwabida ki bedar hai munsif ka zamir
hum to insaf ki zanjir hila bhi aae
mere afkar hain har chand wafa ke paband
kuchh KHayalat magar tere siwa bhi aae
teri KHatir na kabhi main ne palaT ke dekha
rah mein gharche kai koh-e-nida bhi aae
log ho sakte nahin KHwab-e-giran se bedar
ab jagane ke liye chahe KHuda bhi aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.