shor-e-aindagan hai dusri samt
shor-e-ā.indagāñ hai dūsrī samt
ek ātish-fishāñ hai dūsrī samt
is taraf to charāġh-e-dil bhī nahīñ
aur ik kahkashāñ hai dūsrī samt
dūsrī samt jā rahā huuñ maiñ
merī jānib ravāñ hai dūsrī samt
merī jānib hai ik charāġh kī lau
aur saarā jahāñ hai dūsrī samt
vahī ġhauġhā hai shor-o-ġhul hai vahī
vahī shor-e-sagāñ hai dūsrī samt
phir mujhe ek dil dikhāyā gayā
maiñ ne pūchhā kahāñ hai dūsrī samt
mujhe DhūñDo na shash-jihāt meñ tum
maiñ vahāñ huuñ jahāñ hai dūsrī samt
maiñ ki āvāz de rahā huuñ yahāñ
aur mirī ham-zabāñ hai dūsrī samt
sīdhe raste pe chalne vaalā huuñ
ya.anī mujh par girāñ hai dūsrī samt
is taraf to koī savāl nahīñ
ḳhvāb kā imtihāñ hai dūsrī samt
chashm-e-hairat ne khol dī hai girah
be-nishāñ kā makāñ hai dūsrī samt
lā-makāñ meñ makān maḳhfī hai
be-nishāñ kā nishāñ hai dūsrī samt
shor-e-aindagan hai dusri samt
ek aatish-fishan hai dusri samt
is taraf to charagh-e-dil bhi nahin
aur ek kahkashan hai dusri samt
dusri samt ja raha hun main
meri jaanib rawan hai dusri samt
meri jaanib hai ek charagh ki lau
aur sara jahan hai dusri samt
wahi ghaugha hai shor-o-ghul hai wahi
wahi shor-e-sagan hai dusri samt
phir mujhe ek dil dikhaya gaya
main ne puchha kahan hai dusri samt
mujhe DhunDo na shash-jihat mein tum
main wahan hun jahan hai dusri samt
main ki aawaz de raha hun yahan
aur meri ham-zaban hai dusri samt
sidhe raste pe chalne wala hun
yani mujh par giran hai dusri samt
is taraf to koi sawal nahin
KHwab ka imtihan hai dusri samt
chashm-e-hairat ne khol di hai girah
be-nishan ka makan hai dusri samt
la-makan mein makan maKHfi hai
be-nishan ka nishan hai dusri samt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.