shor-e-dariya hai kahani meri
shor-e-dariyā hai kahānī merī
paanī is kā hai ravānī merī
kuchh ziyāda hī bhalī lagtī hai
mujh ko tasvīr purānī merī
jab bhī ubhrā tirā mahtāb-e-ḳhayāl
khil uThī raat kī raanī merī
baḌh ke siine se lagā letā huuñ
jaise har ġham ho nishānī merī
mehrbāñ mujh pe hai ik shāḳh-e-gulāb
kaise mahke na javānī merī
phir tire zikr kī sarsoñ phūlī
phir ġhazal ho ga.ī dhānī merī
kuchh to a.amāl bure the apne
kuchh sitāroñ ne na maanī merī
likhī jā.egī tire barf ke naam
jo tamannā huī paanī merī
tum ne jo bhī kahā maiñ ne maanā
tum ne ik baat na maanī merī
muḳhtasar baat thī jaldī bhī thī kuchh
is pe kuchh zūd-bayānī merī
shor-e-dariya hai kahani meri
pani is ka hai rawani meri
kuchh ziyaada hi bhali lagti hai
mujh ko taswir purani meri
jab bhi ubhra tera mahtab-e-KHayal
khil uThi raat ki rani meri
baDh ke sine se laga leta hun
jaise har gham ho nishani meri
mehrban mujh pe hai ek shaKH-e-gulab
kaise mahke na jawani meri
phir tere zikr ki sarson phuli
phir ghazal ho gai dhani meri
kuchh to aamal bure the apne
kuchh sitaron ne na mani meri
likhi jaegi tere barf ke nam
jo tamanna hui pani meri
tum ne jo bhi kaha main ne mana
tum ne ek baat na mani meri
muKHtasar baat thi jaldi bhi thi kuchh
is pe kuchh zud-bayani meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.