shor-e-mahshar uTha har samt se mai-KHane mein
shor-e-mahshar uThā har samt se mai-ḳhāne meñ
jaane kyā Daal diyā saaqī ne paimāne meñ
mahfil-e-husn meñ shauq-e-dil-e-zāhid mat pūchh
ghol kar tauba ko pī jaate haiñ paimāne meñ
mil gayā mujh ko parī-ḳhāna-e-dil meñ āḳhir
jis ko DhūñDā thā bahut ka.abe meñ but-ḳhāne meñ
uTh ga.e rind-e-balā-nosh sanam-ḳhāne se
ḳhaak uḌtī sī nazar aatī hai mai-ḳhāne meñ
kārvāñ manzil-e-maqsūd pe pahuñchā 'nayyar'
maiñ ki phirtā huuñ abhī dasht meñ vīrāne meñ
shor-e-mahshar uTha har samt se mai-KHane mein
jaane kya Dal diya saqi ne paimane mein
mahfil-e-husn mein shauq-e-dil-e-zahid mat puchh
ghol kar tauba ko pi jate hain paimane mein
mil gaya mujh ko pari-KHana-e-dil mein aaKHir
jis ko DhunDa tha bahut kabe mein but-KHane mein
uTh gae rind-e-bala-nosh sanam-KHane se
KHak uDti si nazar aati hai mai-KHane mein
karwan manzil-e-maqsud pe pahuncha 'nayyar'
main ki phirta hun abhi dasht mein virane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.