shor ehsas mein aisa hai ki mahshar kahiye
shor ehsās meñ aisā hai ki mahshar kahiye
har na.e shahr ko chīḳhoñ kā samundar kahiye
din kā sahrā ye siyah dhuup ke umañDe lashkar
dil ko tapte hue neze pe gul-e-tar kahiye
vo haiñ ākāsh kā manzar ka.ī rañgoñ kī tarah
band shīshoñ meñ mujhe karb kā daftar kahiye
tum sahī phir bhī to murjhā ga.e jhīloñ meñ kañval
in havāoñ ko dabī aag kī chādar kahiye
raat din barse haiñ phūloñ meñ magar pyaas rahī
kaise bādal meñ unheñ zahr kī gāgar kahiye
dard-e-be-dard hai behis haiñ hisoñ ke paikar
dil kī āvāz hai shīshoñ ko bhī patthar kahiye
fikr-o-ġham sab ke makānoñ meñ base haiñ yaksāñ
shīsh-mahloñ ko mire ghar ke barābar kahiye
vo jo aa jaa.eñ mohabbat kā ujālā ban kar
chāñd ko rañg bharī raat kā jhūmar kahiye
āsmāñ par hai ye 'asrār' zamīñ par hai kabhī
dil ko āfāq meñ uḌtā huā shahpar kahiye
shor ehsas mein aisa hai ki mahshar kahiye
har nae shahr ko chiKHon ka samundar kahiye
din ka sahra ye siyah dhup ke umanDe lashkar
dil ko tapte hue neze pe gul-e-tar kahiye
wo hain aakash ka manzar kai rangon ki tarah
band shishon mein mujhe karb ka daftar kahiye
tum sahi phir bhi to murjha gae jhilon mein kanwal
in hawaon ko dabi aag ki chadar kahiye
raat din barse hain phulon mein magar pyas rahi
kaise baadal mein unhen zahr ki gagar kahiye
dard-e-be-dard hai behis hain hison ke paikar
dil ki aawaz hai shishon ko bhi patthar kahiye
fikr-o-gham sab ke makanon mein base hain yaksan
shish-mahlon ko mere ghar ke barabar kahiye
wo jo aa jaen mohabbat ka ujala ban kar
chand ko rang bhari raat ka jhumar kahiye
aasman par hai ye 'asrar' zamin par hai kabhi
dil ko aafaq mein uDta hua shahpar kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.