shor ek halqa-e-yaran mein sunai dega
shor ek halqa-e-yārāñ meñ sunā.ī degā
jab zamāna mirī ulfat kī gavāhī degā
ab to uḌne kā hunar bhuul ga.e haiñ panchhī
ab bhalā kyā unheñ sayyād rihā.ī degā
us ke dil meñ to koī aur makīñ hai kab se
ḳhud talak vo na kabhī mujh ko rasā.ī degā
jāntā huuñ ki vo be-rahm na baḳhshegā mujhe
jāntā huuñ vo mujhe dāġh-e-judā.ī degā
dekhnā hijr meñ us ke maiñ marūñgā ik din
merī mayyat pe vo ro ro ke duhā.ī degā
dil to dil 'aql-o-ḳhirad par bhī hai qabza us kā
ab ba-juz us ke bhalā kaun dikhā.ī degā
ek hī shaḳhs magar vo bhī ḳhudā ne na diyā
ham to samjhe the ḳhudā ham ko ḳhudā.ī degā
aaj tanhā huuñ magar dekhnā ik din 'haidar'
merī āvāz pe labbaik sunā.ī degā
shor ek halqa-e-yaran mein sunai dega
jab zamana meri ulfat ki gawahi dega
ab to uDne ka hunar bhul gae hain panchhi
ab bhala kya unhen sayyaad rihai dega
us ke dil mein to koi aur makin hai kab se
KHud talak wo na kabhi mujh ko rasai dega
jaanta hun ki wo be-rahm na baKHshega mujhe
jaanta hun wo mujhe dagh-e-judai dega
dekhna hijr mein us ke main marunga ek din
meri mayyat pe wo ro ro ke duhai dega
dil to dil 'aql-o-KHirad par bhi hai qabza us ka
ab ba-juz us ke bhala kaun dikhai dega
ek hi shaKHs magar wo bhi KHuda ne na diya
hum to samjhe the KHuda hum ko KHudai dega
aaj tanha hun magar dekhna ek din 'haidar'
meri aawaz pe labbaik sunai dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.