shor hai chiKH hai sada hai ghazal
shor hai chīḳh hai sadā hai ġhazal
zaḳhm hai dard hai davā hai ġhazal
aarzū shauq chaah chain sukūñ
karb hai zabt hai bukā hai ġhazal
hijr meñ bhī shab-e-firāq meñ bhī
ham-safar bhī hai ham-navā hai ġhazal
māh-o-anjum bhī chāñd sūraj bhī
jis meñ rahte haiñ vo samā hai ġhazal
maiñ thā madhosh-e-dīd-e-chashm-e-ġhazāl
hosh meñ laane kī havā hai ġhazal
ashk āñkhoñ ke pūchhne ke liye
merī chādar mirī ridā hai ġhazal
dard jitne chhupe haiñ pahlū meñ
raaz saare tumheñ pata hai ġhazal
ḳhūbsūrat koī nahīñ dikhtā
merī ḳhātir jo mah-laqā hai ġhazal
mere hālāt ne vafā na kiyā
ġham nahīñ kyūñki bā-vafā hai ġhazal
merī tanhā.ī kī ye sāthī hai
log kahte haiñ ki balā hai ġhazal
ashk palkoñ talak na aane diyā
kitnī ma.asūm-o-bā-hayā hai ġhazal
ro.ab ho ḳhauf yā pashemānī
koī tujh meñ nahīñ dikhā hai ġhazal
merī ḳhāmoshiyoñ ko toḌne kā
vo qarīñ mere aslaha hai ġhazal
mere dil kā ishāra jāntī hai
is qadar mujh se āshnā hai ġhazal
nasr meñ ḳhuub aatī rahtī hai
sher meñ jaane kyoñ ḳhafā hai ġhazal
mujh se pūchhā gayā miloge kahāñ
maiñ ne kāġhaz pe likh diyā hai ġhazal
shor hai chiKH hai sada hai ghazal
zaKHm hai dard hai dawa hai ghazal
aarzu shauq chah chain sukun
karb hai zabt hai buka hai ghazal
hijr mein bhi shab-e-firaq mein bhi
ham-safar bhi hai ham-nawa hai ghazal
mah-o-anjum bhi chand suraj bhi
jis mein rahte hain wo sama hai ghazal
main tha madhosh-e-did-e-chashm-e-ghazal
hosh mein lane ki hawa hai ghazal
ashk aankhon ke puchhne ke liye
meri chadar meri rida hai ghazal
dard jitne chhupe hain pahlu mein
raaz sare tumhein pata hai ghazal
KHubsurat koi nahin dikhta
meri KHatir jo mah-laqa hai ghazal
mere haalat ne wafa na kiya
gham nahin kyunki ba-wafa hai ghazal
meri tanhai ki ye sathi hai
log kahte hain ki bala hai ghazal
ashk palkon talak na aane diya
kitni masum-o-ba-haya hai ghazal
roab ho KHauf ya pashemani
koi tujh mein nahin dikha hai ghazal
meri KHamoshiyon ko toDne ka
wo qarin mere aslaha hai ghazal
mere dil ka ishaara jaanti hai
is qadar mujh se aashna hai ghazal
nasr mein KHub aati rahti hai
sher mein jaane kyon KHafa hai ghazal
mujh se puchha gaya miloge kahan
main ne kaghaz pe likh diya hai ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.