shor hua kya ab ke aatish-nak hua
shor huā kyā ab ke ātish-nāk huā
jalte jalte sab kuchh jal kar ḳhaak huā
sab ko apnī apnī paḌī thī pūchhte kyā
kaun vahāñ bach niklā kaun halāk huā
kin rangoñ us sūrat kī ta.abīr karūñ
ḳhvāb-nadī meñ ik sho.ala pairāk huā
nādāñ ko ā.īna hī ayyār kare
ḳhud-bīñ ho kar kaisā vo chālāk huā
tārīkī ke raat azaab hī kyā kam the
sub.h hue par sūraj bhī saffāk huā
aisī koī baat nahīñ thī lekin raat
vo bhī royā maiñ bhī girya-nāk huā
shor hua kya ab ke aatish-nak hua
jalte jalte sab kuchh jal kar KHak hua
sab ko apni apni paDi thi puchhte kya
kaun wahan bach nikla kaun halak hua
kin rangon us surat ki tabir karun
KHwab-nadi mein ek shoala pairak hua
nadan ko aaina hi ayyar kare
KHud-bin ho kar kaisa wo chaalak hua
tariki ke raat azab hi kya kam the
subh hue par suraj bhi saffak hua
aisi koi baat nahin thi lekin raat
wo bhi roya main bhi girya-nak hua
- Book : غبار حیرانی (Pg. 35)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.