shor itna baDha har sada gum hui
shor itnā baḌhā har sadā gum huī
bhiiḌ meñ merī āvāz-e-pā gum huī
ab ḳhudā.ī kā da.avā har ik but ko hai
terī pahchān bhī ai ḳhudā gum huī
aadmī ab mashīnoñ kī duniyā meñ hai
jazba-e-dil kī har ik navā gum huī
ye junūñ ḳhud-parastī kā itnā baḌhā
ḳhud-shanāsī kī aql-e-rasā gum huī
sho.ale nafrat ke dil meñ bhaḌakne lage
vo mohabbat kī ThanDī havā gum huī
ab tasallut ḳhizāñ kā bahāroñ meñ hai
ye ḳhabar de ke bād-e-sabā gum huī
shor itna baDha har sada gum hui
bhiD mein meri aawaz-e-pa gum hui
ab KHudai ka dawa har ek but ko hai
teri pahchan bhi ai KHuda gum hui
aadmi ab mashinon ki duniya mein hai
jazba-e-dil ki har ek nawa gum hui
ye junun KHud-parasti ka itna baDha
KHud-shanasi ki aql-e-rasa gum hui
shoale nafrat ke dil mein bhaDakne lage
wo mohabbat ki ThanDi hawa gum hui
ab tasallut KHizan ka bahaaron mein hai
ye KHabar de ke baad-e-saba gum hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.