shor kaisa hai mubtala mujh mein
shor kaisā hai mubtalā mujh meñ
kaun rahtā hai dūsrā mujh meñ
maiñ kisī jabr ke hisār meñ huuñ
ik safar hai rukā huā mujh meñ
jaane kyā thā ki raat us kā ḳhayāl
rāsta DhūñDhtā rahā mujh meñ
TimTimāte rahe galī ke charāġh
raqs kartī rahī havā mujh meñ
kab se apnī talāsh hai mujh ko
tū ne kyā kyā chhupā diyā mujh meñ
kitnā sarsabz ho gayā huuñ maiñ
kaun sā zaḳhm thā harā mujh meñ
is qadar ġhaur se na dekh mujhe
aks paḌtā hai chāñd kā mujh meñ
'qais' vo shaḳhs aam sā thā magar
kitne manzar sajā gayā mujh meñ
shor kaisa hai mubtala mujh mein
kaun rahta hai dusra mujh mein
main kisi jabr ke hisar mein hun
ek safar hai ruka hua mujh mein
jaane kya tha ki raat us ka KHayal
rasta DhunDhta raha mujh mein
TimTimate rahe gali ke charagh
raqs karti rahi hawa mujh mein
kab se apni talash hai mujh ko
tu ne kya kya chhupa diya mujh mein
kitna sarsabz ho gaya hun main
kaun sa zaKHm tha hara mujh mein
is qadar ghaur se na dekh mujhe
aks paDta hai chand ka mujh mein
'qais' wo shaKHs aam sa tha magar
kitne manzar saja gaya mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.