shor ke dariyaon mein gahra utarna aa gaya
shor ke dariyāoñ meñ gahrā utarnā aa gayā
ḳhāmushī ko ḳhāmushī kī maut marnā aa gayā
terī palkoñ ne sikhāyā gir ke uTh jaanā hameñ
terī zulfoñ se bikharne par sañvarnā aa gayā
is se pahle ham kisī bhī ḳhauf se vāqif na the
tujh se bichhḌe to bichhaḌ jaane se Darnā aa gayā
raat thī vo pyaas kī shiddat ki jaañ hoñThoñ pe thī
vo to kahiye yaad un hoñThoñ kā jharnā aa gayā
qahqahoñ se ham miTā dete the jis tasvīr ko
us ko māthe kī shikan ban kar ubharnā aa gayā
shor ke dariyaon mein gahra utarna aa gaya
KHamushi ko KHamushi ki maut marna aa gaya
teri palkon ne sikhaya gir ke uTh jaana hamein
teri zulfon se bikharne par sanwarna aa gaya
is se pahle hum kisi bhi KHauf se waqif na the
tujh se bichhDe to bichhaD jaane se Darna aa gaya
raat thi wo pyas ki shiddat ki jaan honThon pe thi
wo to kahiye yaad un honThon ka jharna aa gaya
qahqahon se hum miTa dete the jis taswir ko
us ko mathe ki shikan ban kar ubharna aa gaya
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 73)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.