shor sa uTha mujh mein
shor sā uThā mujh meñ
jaane kyā huā mujh meñ
vo sadā.eñ detā thā
aur meñ na thā mujh meñ
mujh ko ek muddat tak
DhūñDhtā rahā mujh meñ
kaun hai ye gum-sum sā
kaun boltā mujh meñ
haañ utar mire andar
dekhtā hai kyā mujh meñ
ik zarā chhuā thā bas
vo to aa rahā mujh meñ
meñ ki bas vahīñ par thā
tū jahāñ na thā mujh meñ
shor sa uTha mujh mein
jaane kya hua mujh mein
wo sadaen deta tha
aur mein na tha mujh mein
mujh ko ek muddat tak
DhunDhta raha mujh mein
kaun hai ye gum-sum sa
kaun bolta mujh mein
han utar mere andar
dekhta hai kya mujh mein
ek zara chhua tha bas
wo to aa raha mujh mein
mein ki bas wahin par tha
tu jahan na tha mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.