shor sahil se machana aur hai
shor sahil se machana aur hai
Mohammad Mirza Wasif Rudaulvi
MORE BYMohammad Mirza Wasif Rudaulvi
shor sāhil se machānā aur hai
Duub jaane se bachānā aur hai
ġham meñ ḳhud aañsū bahānā aur hai
hans ke duniyā ko rulānā aur hai
nāvak-afgan tā.ir-e-bismil hai dil
us kā andāz-e-nishāna aur hai
kyā karūñ sayyād tujh ko baaġh baaġh
ab qafas meñ huuñ tarāna aur hai
saḳht dil ko de jo narmī se shikast
us kī shān-e-fātehāna aur hai
dil ke luTne kī ḳhabar kyā ḳhaak ho
us kī shoḳhī shātirāna aur hai
dil meñ chhuriyāñ lab pe bāteñ narm narm
kis qadar rang-e-zamāna aur hai
vo kisī kī baat kyoñ sunñe lage
āj-kal un kā zamāna aur hai
aur bhī to āshiyāñ haiñ bijliyo
kyā mirā hī āshiyāna aur hai
dil meñ hai 'vāsif' valā-e-ahliyat
ham faqīroñ kā ḳhazāna aur hai
shor sahil se machana aur hai
Dub jaane se bachana aur hai
gham mein KHud aansu bahana aur hai
hans ke duniya ko rulana aur hai
nawak-afgan tair-e-bismil hai dil
us ka andaz-e-nishana aur hai
kya karun sayyaad tujh ko bagh bagh
ab qafas mein hun tarana aur hai
saKHt dil ko de jo narmi se shikast
us ki shan-e-fatehana aur hai
dil ke luTne ki KHabar kya KHak ho
us ki shoKHi shatirana aur hai
dil mein chhuriyan lab pe baaten narm narm
kis qadar rang-e-zamana aur hai
wo kisi ki baat kyon sunne lage
aaj-kal un ka zamana aur hai
aur bhi to aashiyan hain bijliyo
kya mera hi aashiyana aur hai
dil mein hai 'wasif' wala-e-ahliyat
hum faqiron ka KHazana aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.