shor sara mera samo legi
shor saarā mirā samo legī
ḳhāmushī ek roz bolegī
ik udāsī bhī jaañ kī dushman hai
baal vahshat bhī apne kholegī
vasl kī yaad ke sahāre hī
hijr merā akele ro legī
tere dil ne mujhe pukārā hai
kyā tū us se bhī jhuuT bolegī
merī qismat meñ niiñd hai hī nahīñ
terā kyā hai tū din meñ so legī
maiñ dobāra tujhe milūñgā nahīñ
laakh tū dil agar TaTolegī
shor sara mera samo legi
KHamushi ek roz bolegi
ek udasi bhi jaan ki dushman hai
baal wahshat bhi apne kholegi
wasl ki yaad ke sahaare hi
hijr mera akele ro legi
tere dil ne mujhe pukara hai
kya tu us se bhi jhuT bolegi
meri qismat mein nind hai hi nahin
tera kya hai tu din mein so legi
main dobara tujhe milunga nahin
lakh tu dil agar TaTolegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.