shor se pak shab-o-roz guzare ghar mein
shor se paak shab-o-roz guzāre ghar meñ
ham ki tarse hī rahe koī pukāre ghar meñ
ham yatīmoñ ko kahāñ aate the naḳhre karne
ya.anī jhagḌā nahīñ hotā thā hamāre ghar meñ
ham to bas ek hī kone meñ paḌe rahte the
aur mahrūmī rahā kartī thī saare ghar meñ
āyateñ kaan meñ paḌtī thiiñ sahar hone par
ham to rahte the jahāñ bhar se niyāre ghar meñ
ek mamtā thī jise ham ne ḳhudā samjhā thā
jab vo hañstī thī utarte the sitāre ghar meñ
ek hasrat ki maiñ huqqe kī chilam bhar kar duuñ
ek ḳhvāhish ki mirā baap khañkāre ghar meñ
chār-dīvārī thī ġhurbat bhī thī ya.anī 'tahsīn'
ek dīvār ziyāda thī hamāre ghar meñ
shor se pak shab-o-roz guzare ghar mein
hum ki tarse hi rahe koi pukare ghar mein
hum yatimon ko kahan aate the naKHre karne
yani jhagDa nahin hota tha hamare ghar mein
hum to bas ek hi kone mein paDe rahte the
aur mahrumi raha karti thi sare ghar mein
aayaten kan mein paDti thin sahar hone par
hum to rahte the jahan bhar se niyare ghar mein
ek mamta thi jise hum ne KHuda samjha tha
jab wo hansti thi utarte the sitare ghar mein
ek hasrat ki main huqqe ki chilam bhar kar dun
ek KHwahish ki mera bap khankare ghar mein
chaar-diwari thi ghurbat bhi thi yani 'tahsin'
ek diwar ziyaada thi hamare ghar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.