shor uTTha hai ye kaisa tere maiKHane se
shor uTThā hai ye kaisā tire maiḳhāne se
tishna-lab kyā koī Takrā gayā paimāne se
haa.e ye vaqt ye uftād ye ‘usrat kī ghaḌī
dost bhī aaj nazar aate haiñ begāne se
sub.h sharmā.ī agar ruḳh kā saverā jhalkā
shaam ghabrā.ī tirī zulf ke lahrāne se
ab masīhā-nafasī hai na vo darmāñ-koshī
zaḳhm-e-dil hogā harā aur bhī dikhlāne se
log vāqif to na the un kī jafāoñ se 'tapish'
aaj pahchāne ga.e haiñ tire afsāne se
shor uTTha hai ye kaisa tere maiKHane se
tishna-lab kya koi Takra gaya paimane se
hae ye waqt ye uftad ye ‘usrat ki ghaDi
dost bhi aaj nazar aate hain begane se
subh sharmai agar ruKH ka sawera jhalka
sham ghabrai teri zulf ke lahrane se
ab masiha-nafasi hai na wo darman-koshi
zaKHm-e-dil hoga hara aur bhi dikhlane se
log waqif to na the un ki jafaon se 'tapish'
aaj pahchane gae hain tere afsane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.