shorish-e-gham mein raat kaTi hai
shorish-e-ġham meñ raat kaaTī hai
aur tirā dard bhī izāfī hai
dil-mohalle meñ maiñ kahāñ jā.ūñ
har galī terī samt jaatī hai
qahr-o-ġhaiz-o-ġhazab kī duniyā meñ
terā milnā bhī hādsātī hai
hāl-e-dil maiñ kahūñ to kis se kahūñ
kaun duniyā meñ merā sāthī hai
ġham ke dariyā meñ bah ga.e haiñ ham
nā-ḳhudā hai na koī kashtī hai
mahfil-e-dard se uTho vā'iz
baiThne kī jagah hamārī hai
shikva-e-baḳhT kyoñ kareñ 'irsa'
kaun sā rab se zid hamārī hai
shorish-e-gham mein raat kaTi hai
aur tera dard bhi izafi hai
dil-mohalle mein main kahan jaun
har gali teri samt jati hai
qahr-o-ghaiz-o-ghazab ki duniya mein
tera milna bhi hadsati hai
haal-e-dil main kahun to kis se kahun
kaun duniya mein mera sathi hai
gham ke dariya mein bah gae hain hum
na-KHuda hai na koi kashti hai
mahfil-e-dard se uTho wa'iz
baiThne ki jagah hamari hai
shikwa-e-baKHT kyon karen 'irsa'
kaun sa rab se zid hamari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.