shorish-e-paiham bhi hai afsurdagi-e-dil bhi hai
shorish-e-paiham bhī hai afsurdagi-e-dil bhī hai
zindagī bahtā huā dhārā bhī hai sāhil bhī hai
qais kī nazroñ se koī dekhne vaalā to ho
najd meñ lailā bhī hai jalve bhī haiñ mahmil bhī hai
qissa-e-dār-o-rasan yā qissa-e-gesū-o-qad
kuchh to chheḌo vaqt bhī hai rañg par mahfil bhī hai
kyā kare pāmāl-e-ġham ik yād-e-māzī hī nahīñ
haal kī bhī talḳhiyāñ haiñ fikr-e-mustaqbil bhī hai
hai idhar tūfān dāman-gīr 'rāhī' kyā karūñ
muntazir merā udhar koī lab-e-sāhil bhī hai
shorish-e-paiham bhi hai afsurdagi-e-dil bhi hai
zindagi bahta hua dhaara bhi hai sahil bhi hai
qais ki nazron se koi dekhne wala to ho
najd mein laila bhi hai jalwe bhi hain mahmil bhi hai
qissa-e-dar-o-rasan ya qissa-e-gesu-o-qad
kuchh to chheDo waqt bhi hai rang par mahfil bhi hai
kya kare pamal-e-gham ek yaad-e-mazi hi nahin
haal ki bhi talKHiyan hain fikr-e-mustaqbil bhi hai
hai idhar tufan daman-gir 'rahi' kya karun
muntazir mera udhar koi lab-e-sahil bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.