shu’ur-e-fikr hona ya ki idrak-e-suKHan hona
shu’ūr-e-fikr honā yā ki idrāk-e-suḳhan honā
'atā-e-ḳhās-e-qudrat hai kisī kā ahl-e-fan honā
muqaddar ban ga.iiñ tārīkiyāñ shām-e-ġharībāñ kī
qayāmat thā mirā rad-karda-e-sub.h-e-vatan honā
ġhubār-e-kam-nigāhī meñ nazar kyā ḳhaak aa.egā
mire ḳhūn-e-gulū kā ġhāza-e-husn-e-chaman honā
jahāñ bārish ho aañsū kī shab-e-ġham ke añdhere meñ
ġhanīmat hai kisī lab pe tabassum kī kiran honā
abhī khilne hī paayā thā ki toḌā dast-e-gul-chīñ ne
na raas aaya chaman meñ phuul ko rang-e-chaman honā
vahī mānūs galiyāñ ajnabī mā'lūm hotī haiñ
musībat hai kisī kā bhī vatan meñ be-vatan honā
bisāt-e-soz-e-ġham pe qismateñ donoñ kī yaksāñ haiñ
par-e-parvāna honā yā charāġh-e-anjuman honā
sañvārā karte haiñ 'bahzād' bhī zulf-e-suḳhan lekin
mayassar kab huā minjumla-e-arbāb-e-fan honā
shu’ur-e-fikr hona ya ki idrak-e-suKHan hona
'ata-e-KHas-e-qudrat hai kisi ka ahl-e-fan hona
muqaddar ban gain tarikiyan sham-e-ghariban ki
qayamat tha mera rad-karda-e-subh-e-watan hona
ghubar-e-kam-nigahi mein nazar kya KHak aaega
mere KHun-e-gulu ka ghaza-e-husn-e-chaman hona
jahan barish ho aansu ki shab-e-gham ke andhere mein
ghanimat hai kisi lab pe tabassum ki kiran hona
abhi khilne hi paya tha ki toDa dast-e-gul-chin ne
na ras aaya chaman mein phul ko rang-e-chaman hona
wahi manus galiyan ajnabi ma'lum hoti hain
musibat hai kisi ka bhi watan mein be-watan hona
bisat-e-soz-e-gham pe qismaten donon ki yaksan hain
par-e-parwana hona ya charagh-e-anjuman hona
sanwara karte hain 'bahzad' bhi zulf-e-suKHan lekin
mayassar kab hua minjumla-e-arbab-e-fan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.