shuur mein wo silsila guman ka nahin raha
shu'ūr meñ vo silsila gumān kā nahīñ rahā
ḳhayāl mauj-e-dahr meñ nishān kā nahīñ rahā
jo saat āsmānoñ ke ḳhalā kī vus'atoñ meñ thā
fanā huā to ek āsmān kā nahīñ rahā
zabān laḌkhaḌā ga.ī gumān mahv ho gayā
vo gir gayā jise hunar bayān kā nahīñ rahā
shu'ūr ke sipurd kar zabān kī lagām ko
vagarna shahsavār phir uThān kā nahīñ rahā
vo apnā sar uThā rahā thā bāzuoñ ke zor par
vo jitnā phaḌphaḌā.e par uḌaan kā nahīñ rahā
tamām sāma'īn tāliyāñ bajā ke jā chuke
'ḳhalīl' tujh ko hosh hī dhiyān kā nahīñ rahā
shu'ur mein wo silsila guman ka nahin raha
KHayal mauj-e-dahr mein nishan ka nahin raha
jo sat aasmanon ke KHala ki wus'aton mein tha
fana hua to ek aasman ka nahin raha
zaban laDkhaDa gai guman mahw ho gaya
wo gir gaya jise hunar bayan ka nahin raha
shu'ur ke sipurd kar zaban ki lagam ko
wagarna shahsawar phir uThan ka nahin raha
wo apna sar uTha raha tha bazuon ke zor par
wo jitna phaDphaDae par uDan ka nahin raha
tamam sama'in taliyan baja ke ja chuke
'KHalil' tujh ko hosh hi dhiyan ka nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.