shuur-o-fikr ke aise itab TuTte hain
shu'ūr-o-fikr ke aise 'itāb TūTte haiñ
khile baġhair hī dil ke gulāb TūTte haiñ
tahī ho jeb to bharte haiñ saare mansūbe
hisāb rakhte hue be-hisāb TūTte haiñ
lahū lahū nazar aatī hai dil kī vīrānī
saje-sajā.e jab āñkhoñ se ḳhvāb TūTte haiñ
sukūt-e-lab pe hai vo naġhmagī ki jis ke liye
suḳhan ke rhythm navā ke rabāb TūTte haiñ
tire vujūd se hotī hai jab shanāsā.ī
tamām 'umr ke sab intisāb TūTte haiñ
nafas nafas ye bikhartī hayāt ke manzar
havā ke lams se jaise hubāb TūTte haiñ
laboñ se lafz nikalte haiñ aag kī sūrat
jab āgahī ke mirī āftāb TūTte haiñ
sar-e-shu'ūr mile haiñ malāmatoñ ke hujūm
jab e'timād sar-e-intiḳhāb TūTte haiñ
haqāratoñ kī zamīñ dafn bhī nahīñ kartī
'zafar' jab ahl-e-karam ke 'azāb TūTte haiñ
shu'ur-o-fikr ke aise 'itab TuTte hain
khile baghair hi dil ke gulab TuTte hain
tahi ho jeb to bharte hain sare mansube
hisab rakhte hue be-hisab TuTte hain
lahu lahu nazar aati hai dil ki virani
saje-sajae jab aankhon se KHwab TuTte hain
sukut-e-lab pe hai wo naghmagi ki jis ke liye
suKHan ke rhythm nawa ke rabab TuTte hain
tere wujud se hoti hai jab shanasai
tamam 'umr ke sab intisab TuTte hain
nafas nafas ye bikharti hayat ke manzar
hawa ke lams se jaise hubab TuTte hain
labon se lafz nikalte hain aag ki surat
jab aagahi ke meri aaftab TuTte hain
sar-e-shu'ur mile hain malamaton ke hujum
jab e'timad sar-e-intiKHab TuTte hain
haqaraton ki zamin dafn bhi nahin karti
'zafar' jab ahl-e-karam ke 'azab TuTte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.