shua-e-ishq-o-mohabbat ke jhilmilane tak
shuā-e-ishq-o-mohabbat ke jhilmilāne tak
charāġh jalte raheñge tumhāre aane tak
ye rāsta hī sahī is kī ḳhāsiyat ye hai
pahuñch rahā hai tumhāre nigār-ḳhāne tak
tujhe har ek ghaḌī yaad karne se le kar
hai ik tavīl masāfat tujhe bhulāne tak
na jaane kis kī nazar ne kiyā hai ishq ravāñ
ye dariyā suukh chukā thā kabhī dahāne tak
vo chāñd thā ki na haath aa sakā kisī sūrat
chakor phirtā rahā pīchhe ik zamāne tak
vo āsmāñ kī bulandī tak aate bhī kaise
rasā.ī fikr kī jin kī thī āb-o-dāne tak
na jaane fāsle kitne sameT kar 'āqib'
ham apne daur se pahuñche tire zamāne tak
use samajhne meñ kitne hī pech hoñ 'āqib'
ye naqsha vo hai jo le jā.egā ḳhazāne tak
shua-e-ishq-o-mohabbat ke jhilmilane tak
charagh jalte rahenge tumhaare aane tak
ye rasta hi sahi is ki KHasiyat ye hai
pahunch raha hai tumhaare nigar-KHane tak
tujhe har ek ghaDi yaad karne se le kar
hai ek tawil masafat tujhe bhulane tak
na jaane kis ki nazar ne kiya hai ishq rawan
ye dariya sukh chuka tha kabhi dahane tak
wo chand tha ki na hath aa saka kisi surat
chakor phirta raha pichhe ek zamane tak
wo aasman ki bulandi tak aate bhi kaise
rasai fikr ki jin ki thi aab-o-dane tak
na jaane fasle kitne sameT kar 'aqib'
hum apne daur se pahunche tere zamane tak
use samajhne mein kitne hi pech hon 'aqib'
ye naqsha wo hai jo le jaega KHazane tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.