shua-e-mehr ki shabnam se ban nahin sakti
shuā-e-mehr kī shabnam se ban nahīñ saktī
ġham-e-jahāñ kī tire ġham se ban nahīñ saktī
ye faisla hai hamārā tire liye sayyād
chaman meñ rah ke tirī ham se ban nahīñ saktī
hayāt-e-jahd-o-amal se hai varna maut achchhī
hayāt-e-girya-e-mātam se ban nahīñ saktī
hazār kuchh ho magar zāhidoñ kī jannat meñ
ye tajraba hai ki aadam se ban nahīñ saktī
shua-e-mehr ki shabnam se ban nahin sakti
gham-e-jahan ki tere gham se ban nahin sakti
ye faisla hai hamara tere liye sayyaad
chaman mein rah ke teri hum se ban nahin sakti
hayat-e-jahd-o-amal se hai warna maut achchhi
hayat-e-girya-e-matam se ban nahin sakti
hazar kuchh ho magar zahidon ki jannat mein
ye tajraba hai ki aadam se ban nahin sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.