shua-e-zar na mili rang-e-shairana mila
shuā-e-zar na milī rañg-e-shā.irāna milā
matā-e-nūr se kyā mujh ko munsifāna milā
maiñ kis se pūchhūñ ki is sail-e-ḳhāk se bāhar
kise nikalnā na thā kis ko rāsta na milā
kahīñ dikhā.ī na dī anjum-e-duā kī chamak
ghane añdhere meñ ik haath bhī uThā na milā
bhaTak rahā huuñ maiñ is dasht-e-sañg meñ kab se
abhī talak to dar-e-ā.īna khulā na milā
jalā.e phirtā rahā mish.al-e-tajassus maiñ
magar surāġh kahīñ khoī shaam kā na milā
ugaltā hogā kabhī sonā chāñdī ḳhitta-e-dil
mujhe to ek bhī sikka yahāñ paḌā na milā
navāh-e-jāñ meñ vo tūfān-e-habs thā ki 'hasan'
havā to kyā ki kahīñ havā na milā
shua-e-zar na mili rang-e-shairana mila
mata-e-nur se kya mujh ko munsifana mila
main kis se puchhun ki is sail-e-KHak se bahar
kise nikalna na tha kis ko rasta na mila
kahin dikhai na di anjum-e-dua ki chamak
ghane andhere mein ek hath bhi uTha na mila
bhaTak raha hun main is dasht-e-sang mein kab se
abhi talak to dar-e-aina khula na mila
jalae phirta raha mishal-e-tajassus main
magar suragh kahin khoi sham ka na mila
ugalta hoga kabhi sona chandi KHitta-e-dil
mujhe to ek bhi sikka yahan paDa na mila
nawah-e-jaan mein wo tufan-e-habs tha ki 'hasan'
hawa to kya ki kahin hawa na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.