shuaen aise mere jism se guzarti gain
shuā.eñ aise mire jism se guzartī ga.iiñ
lahū meñ jaise mire kirchiyāñ utartī ga.iiñ
na jaane chehre huuñ ā.inda nasl ke kaise
bas ek ḳhauf se merī rageñ sikuḌtī ga.iiñ
mujhe to lagte haiñ nāḳhun bhī apne zahr bujhe
mere liye to mirī uñgliyāñ bhī martī ga.iiñ
jazīre kitne garāñ pāniyoñ kī god meñ haiñ
panāh ke liye socheñ mirī bikhartī ga.iiñ
ye gardishoñ kā tavāzun bigaḌ na jaa.e kahīñ
isī tarah jo zamīñ kī taheñ udhaḌtī ga.iiñ
ḳhalā hayāt ke imkāñ se to nahīñ aarī
pa justujūeñ kuchh apnī hī maañd paḌtī ga.iiñ
shuaen aise mere jism se guzarti gain
lahu mein jaise mere kirchiyan utarti gain
na jaane chehre hun aainda nasl ke kaise
bas ek KHauf se meri ragen sikuDti gain
mujhe to lagte hain naKHun bhi apne zahr bujhe
mere liye to meri ungliyan bhi marti gain
jazire kitne garan paniyon ki god mein hain
panah ke liye sochen meri bikharti gain
ye gardishon ka tawazun bigaD na jae kahin
isi tarah jo zamin ki tahen udhaDti gain
KHala hayat ke imkan se to nahin aari
pa justujuen kuchh apni hi mand paDti gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.