shukr-e-parwardigar karta hun
shukr-e-parvardigār kartā huuñ
aur lail-o-nahār kartā huuñ
jo har ik taur se munāsib ho
vo ravish iḳhtiyār kartā huuñ
saarī duniyā se vāsta hai mujhe
saarī duniyā ko pyaar kartā huuñ
phuul to phuul haiñ kalī to kalī
maiñ to kāñToñ se pyaar kartā huuñ
maiñ har ik shaḳhs ko zamāne meñ
ḳhud se behtar shumār kartā huuñ
tū mirā e.atibār kar na sakā
maiñ tirā e.atibār kartā huuñ
arz-e-ġham un se kar nahīñ paatā
hausla baar baar kartā huuñ
merī himmat ko daad de tujh par
apnī hastī nisār kartā huuñ
pahle thī fikr-e-īn-o-āñ 'manzil'
ab to fikr-e-mazār kartā huuñ
shukr-e-parwardigar karta hun
aur lail-o-nahaar karta hun
jo har ek taur se munasib ho
wo rawish iKHtiyar karta hun
sari duniya se wasta hai mujhe
sari duniya ko pyar karta hun
phul to phul hain kali to kali
main to kanTon se pyar karta hun
main har ek shaKHs ko zamane mein
KHud se behtar shumar karta hun
tu mera eatibar kar na saka
main tera eatibar karta hun
arz-e-gham un se kar nahin pata
hausla bar bar karta hun
meri himmat ko dad de tujh par
apni hasti nisar karta hun
pahle thi fikr-e-in-o-an 'manzil'
ab to fikr-e-mazar karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.