shukr-e-rab hai ki bas aman mein hun
shukr-e-rab hai ki bas amaan meñ huuñ
kin duāoñ ke sā.ebān meñ huuñ
par haiñ bhīge hue uḌaan meñ huuñ
vaqt ke saḳht imtihān meñ huuñ
aaj bhī ajnabī hai har apnā
jab ki barsoñ se ḳhāndān meñ huuñ
pattharoñ ne sukūn chhīn liyā
jab se maiñ kāñch ke makān meñ huuñ
kyā judā.ī kā aur ho imkāñ
tere dil meñ huuñ terī jaan meñ huuñ
ghar kī tārīf kyā karūñ rāhat
maiñ to muddat se ik makān meñ huuñ
shukr-e-rab hai ki bas aman mein hun
kin duaon ke saeban mein hun
par hain bhige hue uDan mein hun
waqt ke saKHt imtihan mein hun
aaj bhi ajnabi hai har apna
jab ki barson se KHandan mein hun
pattharon ne sukun chhin liya
jab se main kanch ke makan mein hun
kya judai ka aur ho imkan
tere dil mein hun teri jaan mein hun
ghar ki tarif kya karun rahat
main to muddat se ek makan mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.