shukr hai ab ke bekali kam hai
shukr hai ab ke bekalī kam hai
āj-kal un se dostī kam hai
saañs lene meñ dam nikaltā hai
in havāoñ meñ kuchh namī kam hai
tum use zaḳhm-e-dil dikhāte ho
vo jo qātil hai aadmī kam hai
taab bhar us meñ hai jalāne kī
apne sūraj meñ raushnī kam hai
ham to duniyā ko kyā se kyā kar deñ
kyā kareñ apnī zindagī kam hai
lag rahā hai ki vo na ā.eñge
aaj mahfil meñ khalbalī kam hai
kaam ke ham bhī aadmī haiñ ab
āj-kal ham meñ āshiqī kam hai
un se 'az.har' to ham nahīñ jin meñ
sirf sūrat hai shā.irī kam hai
shukr hai ab ke bekali kam hai
aaj-kal un se dosti kam hai
sans lene mein dam nikalta hai
in hawaon mein kuchh nami kam hai
tum use zaKHm-e-dil dikhate ho
wo jo qatil hai aadmi kam hai
tab bhar us mein hai jalane ki
apne suraj mein raushni kam hai
hum to duniya ko kya se kya kar den
kya karen apni zindagi kam hai
lag raha hai ki wo na aaenge
aaj mahfil mein khalbali kam hai
kaam ke hum bhi aadmi hain ab
aaj-kal hum mein aashiqi kam hai
un se 'azhar' to hum nahin jin mein
sirf surat hai shairi kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.