shukr humne na kuchh shikayat ki
shukr ham ne na kuchh shikāyat kī
baat hai apnī apnī ḳhaslat kī
aisā hamvār rāsta kab thā
kyā zarūrat thī utnī ujlat kī
kahtī rahtī hai būḌhī gumnāmī
kitnī chhoTī thī umr shohrat kī
yaas ummīd ġham ḳhushī ḳhvāhish
ghar meñ har chiiz hai zarūrat kī
haiñ muqaddar azaab ke mausam
koī rut ho nasīb rāhat kī
din-Dhale hogā jashn-e-tanhā.ī
iltijā hai ġhamoñ se shirkat kī
yaad aayā vo TuuT kar 'fārūq'
raat bārish thī kyā qayāmat kī
shukr hum ne na kuchh shikayat ki
baat hai apni apni KHaslat ki
aisa hamwar rasta kab tha
kya zarurat thi utni ujlat ki
kahti rahti hai buDhi gumnami
kitni chhoTi thi umr shohrat ki
yas ummid gham KHushi KHwahish
ghar mein har chiz hai zarurat ki
hain muqaddar azab ke mausam
koi rut ho nasib rahat ki
din-Dhale hoga jashn-e-tanhai
iltija hai ghamon se shirkat ki
yaad aaya wo TuT kar 'faruq'
raat barish thi kya qayamat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.