shukriya hasti ka! lekin tumne ye kya kar diya
shukriya hastī kaa! lekin tum ne ye kyā kar diyā
parde hī parde meñ apnā raaz ifshā kar diyā
maañg kar ham laa.e the allāh se ik dard-e-ishq
vo bhī ab taqdīr ne auroñ kā hissa kar diyā
do hī angāre the hāthoñ meñ ḳhudā-e-ishq ke
ek ko dil ek ko merā kalejā kar diyā
jab tajallī un kī barq-arzāniyoñ par aa ga.ī
aable se dil ke paidā tūr-e-sīnā kar diyā
apnī is vāraftagī-e-shauq kā mamnūn huuñ
bār-hā mujh ko bharī mahfil meñ tanhā kar diyā
vāqi.āt-e-ishq kā thā lamha lamha ik sadī
har nafas meñ maiñ ne ik armān puurā kar diyā
marhamat farmā ke ai 'sīmāb' ġham kī lazzateñ
ziist kī talḳhī ko fitrat ne gavārā kar diyā
shukriya hasti ka! lekin tum ne ye kya kar diya
parde hi parde mein apna raaz ifsha kar diya
mang kar hum lae the allah se ek dard-e-ishq
wo bhi ab taqdir ne auron ka hissa kar diya
do hi angare the hathon mein KHuda-e-ishq ke
ek ko dil ek ko mera kaleja kar diya
jab tajalli un ki barq-arzaniyon par aa gai
aable se dil ke paida tur-e-sina kar diya
apni is waraftagi-e-shauq ka mamnun hun
bar-ha mujh ko bhari mahfil mein tanha kar diya
waqiat-e-ishq ka tha lamha lamha ek sadi
har nafas mein main ne ek arman pura kar diya
marhamat farma ke ai 'simab' gham ki lazzaten
zist ki talKHi ko fitrat ne gawara kar diya
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 44)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.