shukriya tera ki gham ka hausla rahne diya
shukriya terā ki ġham kā hausla rahne diyā
be-asar kar dī duā dast-e-duā rahne diyā
munsifī kā shor-e-mahshar gūñjtā rahne diyā
sab dalīloñ ko sunā aur faisla rahne diyā
ai ḳhudā mamnūn huuñ terā ki mere phuul meñ
tū ne ḳhushbū-e-havas rañg-e-vafā rahne diyā
kuchh ishāre itne mub.ham itne vāzeh itne shoḳh
dāstāñ saarī sunā dī mudda.ā rahne diyā
ek nāz-e-be-takalluf mere tere darmiyāñ
dūriyāñ saarī miTā diiñ fāsla rahne diyā
shukriya tera ki gham ka hausla rahne diya
be-asar kar di dua dast-e-dua rahne diya
munsifi ka shor-e-mahshar gunjta rahne diya
sab dalilon ko suna aur faisla rahne diya
ai KHuda mamnun hun tera ki mere phul mein
tu ne KHushbu-e-hawas rang-e-wafa rahne diya
kuchh ishaare itne mubham itne wazeh itne shoKH
dastan sari suna di muddaa rahne diya
ek naz-e-be-takalluf mere tere darmiyan
duriyan sari miTa din fasla rahne diya
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 64)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.