Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shumar-e-subha marghub-e-but-e-mushkil-pasand aaya

Mirza Ghalib

shumar-e-subha marghub-e-but-e-mushkil-pasand aaya

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    shumār-e-sub.ha marġhūb-e-but-e-mushkil-pasand aayā

    tamāshā-e-ba-yak-kaf burdan-e-sad-dil-pasand aayā

    ba-faiz-e-be-dilī naumīdi-e-jāved āsāñ hai

    kushāyish ko hamārā uqda-e-mushkil-pasand aayā

    havā-e-sair-e-gul ā.īna-e-be-mehri-e-qātil

    ki andāz-e-ba-ḳhūñ-ġhaltīdan-e-bismil-pasand aayā

    ravānī-hā-e-mauj-e-ḳhūn-e-bismil se Tapaktā hai

    ki lutf-e-be-tahāshā-raftan-e-qātil-pasand aayā

    'asad' har suḳhan ne tarh-e-bāġh-e-tāza Daalī hai

    mujhe rañg-e-bahār-ījādi-e-be-dil-pasand aayā

    shumar-e-subha marghub-e-but-e-mushkil-pasand aaya

    tamasha-e-ba-yak-kaf burdan-e-sad-dil-pasand aaya

    ba-faiz-e-be-dili naumidi-e-jawed aasan hai

    kushayish ko hamara uqda-e-mushkil-pasand aaya

    hawa-e-sair-e-gul aaina-e-be-mehri-e-qatil

    ki andaz-e-ba-KHun-ghaltidan-e-bismil-pasand aaya

    rawani-ha-e-mauj-e-KHun-e-bismil se Tapakta hai

    ki lutf-e-be-tahasha-raftan-e-qatil-pasand aaya

    'asad' har ja suKHan ne tarh-e-bagh-e-taza Dali hai

    mujhe rang-e-bahaar-ijadi-e-be-dil-pasand aaya

    Source :
    • Book : Ghair Mutdavil Kalam-e-Ghalib (Pg. 24)
    • Author : Jamal Abdul Wahid
    • Publication : Ghalib Academy Basti Hazrat Nizamuddin,New Delhi-13 (2016)
    • Edition : 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now