shumar lamhon ka sadiyon mein kar raha hun main
shumār lamhoñ kā sadiyoñ meñ kar rahā huuñ maiñ
ajiib vaqt se yaaro guzar rahā huuñ maiñ
ye saarā faiz usī ātish-e-darūñ kā hai
huā hai kitnā añdherā nikhar rahā huuñ maiñ
nazar nazar meñ hikāyat mire junūñ kī hai
sahīfa ban ke diloñ meñ utar rahā huuñ maiñ
mujhe miTā na sakoge hazār koshish se
jahāñ Duboyā vahāñ se ubhar rahā huuñ maiñ
shumar lamhon ka sadiyon mein kar raha hun main
ajib waqt se yaro guzar raha hun main
ye sara faiz usi aatish-e-darun ka hai
hua hai kitna andhera nikhar raha hun main
nazar nazar mein hikayat mere junun ki hai
sahifa ban ke dilon mein utar raha hun main
mujhe miTa na sakoge hazar koshish se
jahan Duboya wahan se ubhar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.