shurua din se kisi sitare ki ungliyon mein qalam nahin hai
shurua din se kisi sitare ki ungliyon mein qalam nahin hai
Saleem Siddiqui
MORE BYSaleem Siddiqui
shurūa din se kisī sitāre kī uñgliyoñ meñ qalam nahīñ hai
siyāh shab ke qadīm kāġhaz pe koī sūraj raqam nahīñ hai
maiñ dasht-e-vahshat meñ raqs kartā to mujh pe shāyad ye raaz khultā
ḳhirad hai muhtāj-e-āb-o-dāna junūñ asīr-e-shikam nahīñ hai
vo ik samundar hai be-misālī meñ chand qatroñ kā ik savālī
vo kam se kam bhī atā jo kar de bahut hai mujh ko vo kam nahīñ hai
tumhārī āñkhoñ kā kyā karūñ maiñ tumhāre zehnoñ ko kyā kahūñ maiñ
tabāh rātoñ kā dukh hai tum ko bujhe charāġhoñ kā ġham nahīñ hai
maiñ raushnī ke chamakte shānoñ pe paañv rakh kar guzar rahā huuñ
falak hai mere safar kī manzil zamīn zer-e-qadam nahīñ hai
hamāre rone se us kā dil jo nahīñ pasījā to kyā shikāyat
ki jis se poñchhe the ham ne aañsū vo āstīñ bhī to nam nahīñ hai
maiñ is se pahle bhī kohsāroñ meñ apnā rastā banā chukā huuñ
na.e pahāḌoñ se kah do jā kar ye merā pahlā janam nahīñ hai
hamārī kashtī ke ek chappū pe yā-mohammad likhā huā hai
hamārī kashtī se paar paa.e kisī samundar meñ dam nahīñ hai
na koī girya na kuchh taġhāful jo TūTnā hai to TuuT jaa.e
hamārī sāñsoñ kī Dor hai ye tumhāre sar kī qasam nahīñ hai
shurua din se kisi sitare ki ungliyon mein qalam nahin hai
siyah shab ke qadim kaghaz pe koi suraj raqam nahin hai
main dasht-e-wahshat mein raqs karta to mujh pe shayad ye raaz khulta
KHirad hai muhtaj-e-ab-o-dana junun asir-e-shikam nahin hai
wo ek samundar hai be-misali mein chand qatron ka ek sawali
wo kam se kam bhi ata jo kar de bahut hai mujh ko wo kam nahin hai
tumhaari aankhon ka kya karun main tumhaare zehnon ko kya kahun main
tabah raaton ka dukh hai tum ko bujhe charaghon ka gham nahin hai
main raushni ke chamakte shanon pe panw rakh kar guzar raha hun
falak hai mere safar ki manzil zamin zer-e-qadam nahin hai
hamare rone se us ka dil jo nahin pasija to kya shikayat
ki jis se ponchhe the hum ne aansu wo aastin bhi to nam nahin hai
main is se pahle bhi kohsaron mein apna rasta bana chuka hun
nae pahaDon se kah do ja kar ye mera pahla janam nahin hai
hamari kashti ke ek chappu pe ya-mohammad likha hua hai
hamari kashti se par pae kisi samundar mein dam nahin hai
na koi girya na kuchh taghaful jo TuTna hai to TuT jae
hamari sanson ki Dor hai ye tumhaare sar ki qasam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.