shurua hone ka matlab hi iKHtitam na ho
shurūa hone kā matlab hī iḳhtitām na ho
mirī shikast kahīñ tujh se intiqām na ho
shanāḳht sab se baḌā nafsiyātī mas.ala hai
maiñ chāhtā huuñ kisī shai kā koī naam na ho
anā ziyāda zarūrī hai saañs kī nisbat
sipāhī martā hai mar jaa.e par ġhulām na ho
mujhe to dil ne ajab vasvasoñ meñ Daal diyā
shikast-o-reḳht kisī tarz kā kalām na ho
abhī talak vo mirī aañkh se nahīñ niklā
na.e shikārī kī jangal meñ pahlī shaam na ho
hamesha Thahrī huī shai nishāna bantī hai
ḳhayāl rakhnā ki rah meñ kahīñ qiyām na ho
sag-e-zamāna salīqe se aarī hai 'hamza'
suḳhan-varī kisī darvesh kā hī kaam na ho
shurua hone ka matlab hi iKHtitam na ho
meri shikast kahin tujh se intiqam na ho
shanaKHt sab se baDa nafsiyati masala hai
main chahta hun kisi shai ka koi nam na ho
ana ziyaada zaruri hai sans ki nisbat
sipahi marta hai mar jae par ghulam na ho
mujhe to dil ne ajab waswason mein Dal diya
shikast-o-reKHt kisi tarz ka kalam na ho
abhi talak wo meri aankh se nahin nikla
nae shikari ki jangal mein pahli sham na ho
hamesha Thahri hui shai nishana banti hai
KHayal rakhna ki rah mein kahin qiyam na ho
sag-e-zamana saliqe se aari hai 'hamza'
suKHan-wari kisi darwesh ka hi kaam na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.