shuur chahiye izhaar-o-agahi ke liye
shu.ūr chāhiye izhār-o-āgahī ke liye
ḳhushī hai ġham ke liye aur ġham ḳhushī ke liye
hazār jalve nazar ke liye haiñ aalam meñ
nigāh-e-shauq hai lekin kisī kisī ke liye
zarā havāoñ ke ruḳh par bhī ik nazar Dāleñ
charāġh DhūñD rahe haiñ jo raushnī ke liye
kisī ne ye bhī na pūchhā ki kyā guzartī hai
ham apne aap se jaate rahe kisī ke liye
ye raaz pūchhe to parvāne se koī pūchhe
ki be-sabab koī martā nahīñ kisī ke liye
riyāz-e-ishq meñ aisī bhī ik bahār aa.ī
nigāh-e-shauq ne bose kalī kalī ke liye
kise ḳhabar thī ki ḳhud raushnī ko tarsegā
charāġh-e-ishq jalāyā thā raushnī ke liye
usī kā naam farishtoñ ke naam se chamkā
jo aadmī huā qurbān dostī ke liye
hazār qudrat-e-azm-o-amal sahī lekin
ḳhalā kā ḳhauf bhī lāzim hai aadmī ke liye
davā-e-dard agar aap se nahīñ hotī
duā-e-marg hī kar jā.iye 'rishī' ke liye
shuur chahiye izhaar-o-agahi ke liye
KHushi hai gham ke liye aur gham KHushi ke liye
hazar jalwe nazar ke liye hain aalam mein
nigah-e-shauq hai lekin kisi kisi ke liye
zara hawaon ke ruKH par bhi ek nazar Dalen
charagh DhunD rahe hain jo raushni ke liye
kisi ne ye bhi na puchha ki kya guzarti hai
hum apne aap se jate rahe kisi ke liye
ye raaz puchhe to parwane se koi puchhe
ki be-sabab koi marta nahin kisi ke liye
riyaz-e-ishq mein aisi bhi ek bahaar aai
nigah-e-shauq ne bose kali kali ke liye
kise KHabar thi ki KHud raushni ko tarsega
charagh-e-ishq jalaya tha raushni ke liye
usi ka nam farishton ke nam se chamka
jo aadmi hua qurban dosti ke liye
hazar qudrat-e-azm-o-amal sahi lekin
KHala ka KHauf bhi lazim hai aadmi ke liye
dawa-e-dard agar aap se nahin hoti
dua-e-marg hi kar jaiye 'rishi' ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.