shuur de ke mujhe baal-o-par nahin deta
shu.ūr de ke mujhe bāl-o-par nahīñ detā
safar kā kahtā hai zād-e-safar nahīñ detā
ye kaun mujh ko mirī zaat se chhupātā hai
ye kaun mujh ko hī merī ḳhabar nahīñ detā
nishān-e-manzil-e-maqsūd to batātā hai
kisī bhī taur vo izn-e-safar nahīñ detā
zamāna go mujhe mā.il-ba-jañg kartā hai
magar ye teġh-o-sinān-o-sipar nahīñ detā
sitam to jo bhī kare tujh ko hai ravā lekin
mirā zamīr mujhe ye hunar nahīñ detā
mabādā lauT ke aa.uuñ koī na pahchāne
nikalne ghar se ye 'sajjād' Dar nahīñ detā
shuur de ke mujhe baal-o-par nahin deta
safar ka kahta hai zad-e-safar nahin deta
ye kaun mujh ko meri zat se chhupata hai
ye kaun mujh ko hi meri KHabar nahin deta
nishan-e-manzil-e-maqsud to batata hai
kisi bhi taur wo izn-e-safar nahin deta
zamana go mujhe mail-ba-jang karta hai
magar ye tegh-o-sinan-o-sipar nahin deta
sitam to jo bhi kare tujh ko hai rawa lekin
mera zamir mujhe ye hunar nahin deta
mabaada lauT ke aaun koi na pahchane
nikalne ghar se ye 'sajjad' Dar nahin deta
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 568)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.