shuur-e-fasla-e-KHair-o-shar diya hai mujhe
shu.ūr-e-fāsla-e-ḳhair-o-shar diyā hai mujhe
tirī nigāh ne tabdīl kar diyā hai mujhe
mirā maqām kahīñ aur thā pa lagtā hai
kisī ne rau meñ kahīñ aur dhar diyā hai mujhe
bas ik gila sā tirī chashm-e-nīm-bāz se hai
ki us ne vaqt bahut muḳhtasar diyā hai mujhe
mujhe ḳhabar nahīñ saudā hai yā tajassus hai
mire ḳhamīr ne kyā dard-e-sar diyā hai mujhe
maiñ apnī raah banā lūñgā kohsāroñ meñ
ḳhirad ne koh-kanī kā hunar diyā hai mujhe
shuur-e-fasla-e-KHair-o-shar diya hai mujhe
teri nigah ne tabdil kar diya hai mujhe
mera maqam kahin aur tha pa lagta hai
kisi ne rau mein kahin aur dhar diya hai mujhe
bas ek gila sa teri chashm-e-nim-baz se hai
ki us ne waqt bahut muKHtasar diya hai mujhe
mujhe KHabar nahin sauda hai ya tajassus hai
mere KHamir ne kya dard-e-sar diya hai mujhe
main apni rah bana lunga kohsaron mein
KHirad ne koh-kani ka hunar diya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.